top of page

Aaye ho krEEsht tum - आये हो क्रीष्ट तुम

Rev. R. K. Nair

आये हो क्रीष्ट तुम बन करके जीवन हमारा

दूर से सितारे ने हमको दिया ये इशारा

 

1. व्यवस्था हमारे काम न आयी कर्म हमारे थे चिथड़े समान

डूब रहे थे जब पापों में तुमने आकर उभारा

आये हो क्रीष्ट...

 

2. दुनिया के जितने भी रस्ते स्वर्ग कभी न पहुँचते

मनुष्य जनम तुमने लिया हमको खुदा से मिलाया

आये हो क्रीष्ट...

 

3. सितारा पूरब में चमका तीन मजूसी हैं आए

सोना मुर और लोबान तुमको है भेंट चढ़ाया

आये हो क्रीष्ट...

 

4. सोना राजा होने का निशान हमको बताता

मुर मीत को तुम्हारी हमको है दर्शाता

लोबान खुशबू की तरह शोहरत तुम्हारी है फैलाता

आये हो क्रीष्ट...

 

 

Aaye ho kreesht tum ban karke jeevan hamaara

Door se sitaare ne hamko diya ye ishaara

 

1. Vyavastha hamaare kaam na aayee karm hamaare the chithde samaan

Doob rahe the jab paapon mein tumne aakar ubhaara

Aaye ho kreesht tum...

 

2. Duniya ke jitne bhi raste swarg kabhi na pahunchte

Manushya janam tumne liya hamko Khuda se milaaya

Aaye ho kreesht tum...

 

3. Sitaara poorab mein chamka teen majoosi hain aaye

Sona mur aur lobaan tumko hai bhent chadhaaya

Aaye ho kreesht tum...

 

4. Sona raaja hone ka nishaan hamko bataata

Mur meet ko tumhaari hamko hai darshaata

Lobaan khushboo ki tarah shoharat tumhaari hai phailaata

Aaye ho kreesht tum...

 

 

 

 

 

  प्रभु इस गीत के द्वारा आप सब को आशीष दे

bottom of page